Monday, October 8, 2007

bacche

laalbatti ke gird milte hain
jalte bujhti si aankhoN waale
udhre chithro mein sajeele bacche

thamti caroN pe bhaagkar jhat se
dono hothoN ko kheench kano tak
kaanch par jism chod dete hain
tang jismoN mein dheele bacche

rookhe hathoN mein uthaye kitne
magzino ke mulayam jathe
naamcheeN noveloN ki sasti nakleN
waqt katne ki sau tarkeebeN
rozmarra ke kaam ki cheezen
nanhe jeboN se tijaarat karte
kalasti dhoop mein peele bacche

kabhi basoN mein jo chadh aate hain
ungliyoN mein phansaaye pithoo
uljhi tarzon ko barbarate hue
jee bara besura sa karte hain
jab bhi gaate hain sureele bacche

hafte dar hafte har shanichar ko
tel ke kund liye haathon mein
dar dikhate hue sayyiron ka
shakl par pote dua
laal kaale gore neele bacche

kisne laakar ke yaha chod diya...
goya likhkar ke koi ek misra
kisi shayar ne kar diya khaarij
la-mukkammal,
apne maani ko taraste hue
laalbatti ke gird milte hain
bheegti umr mein geele bacche
..
.

Sunday, October 7, 2007

gazal : sach bolta hai

sach ko aawaz ki garaz kya hai,sach bolta hai
go lage jhooth par yahi sach hai, sach bolta hai

yaar ko kaun sikhaye bhala duniyadaari
woh to gaafil hai ke har baat pe sach bolta hai

dil hai aaiyar mera dard chupa leta hai
pet jhootha nahin, ye bhookh se sach bolta hai

use logoN ki nigaahoN se mehfooz rakho
katl kar de na masiha ko ke sach bolta hai

almaari

in daraazoN mein ab kahaN kuch hai
choora choora hai woh bhi, jo kuch hai

puraani chithiyoN ke kate phate kaagaz
laal ek shawl jo thi uska gulaabi katran

tumhare baad raha kya baaki
khali khaano mein sirf khaalipan

tumhare baad ab nahin khulti

khul bhi jaye jo kisi heele se
mere hathon se band nahin hoti

..
.

Random Thoughts

koi shayad kisi ko bhool gaya
jaise karvat badal li sote mein

dooji jaanib to palat kar dekho
kuli aankhoN se take khwab koi

kaisa khali sa kar gaya koi
bhar ke aankhoN mein intezaar apna

-------------

rooh to khol gaye tum lekin
jism ka khol peeche choot gaya

zindagi bhar ka yahi haasil hai
zindagi ek din nahin rehti


--------------


rang chipka hua hai jism se ek
jo ke utra nahin saaloN se kai

tere haathoN ka chua lagta hai
tere choone se hatega shayad


---------------

main bhi khamoshi padh nahin pata
tum bhi kore jawab dete ho

pehle main bin kahe hi sunta tha
tum bhi kehte hue na thakte the

waqt ke saath badal li aadat

-------------

pehle tum dil pukarte the mujhe
main bhi aakhoN se chehra padhta tha

saath choota to naam choot gaya
naam ke saath saath hunar sabhi

--------------


laye ab dhoondh kar koi laye
mujhse ghar mera kho gaya shayad

bhari duniya mein lamakaN hoon main

------------


doobi doobi udaas hain aankhen
bas tere aas paas hain aankhen

kal se aankhoN mein ek fasad sa hai

------------


chaand chakha namkeen laga
shab bhar betha roya hoga

yaa phir neend ke tukde apni
aankh mein rakh kar soya hoga

-------------

murda chaand ko lekar phirti
hain khud kush pagli raatieN

subah ke seene pe maatam
karti hain kangli raatieN

----------------

adhoore aashaar

dast e saaki se to peekar ubar nahin pata
chasm e saaki se jo peeta to mar nahin jaata

mujhko aisi na peelana ki hosh kho doon main
mujhko sona hi jo hota to ghar nahin jata


------------------

woh kush hota hai to
huale se gaal choom leta hai

uski aadat nahiN woh
shehar mein charcha nahin karta

------------

haif soche se badalti jo zeesth ki soorat
adami main bhi kisi but ke barabar hota


------------

is shehar mein dhoondtaa hoon ek biyaaN-baaN khaas sa
shor ho itna jahaN hote pe bhi koi na ho

------------


kaash aankhoN ki zubaaN ho jaaye
ye nami lafzoN mein bayaN ho jaye

mujtarib kar mujhe baat palat di usne
jab kaha main ne ki haaN ho jaaye

-------------

kheenche hai is ada se nala mera dil
jaata hai nikal baar baar gire-baan se

deta hai bade pyaar se har gham mujhe aziz
karte mana aati hai shram meharbaan se


-----------

uske rookh se nahin hati nazreiN
goya kheenche saraab mein mujhko

ab koi aur shai ijaad karo
nahin taskeeN sharaab mein mujhko

har makiN ko makaN mein hai aaram
jaise dehr e kharab mein mujhko

-------------

jee pe guzre nahin jab tak bala ko kya koi boojhe
kisi ka dum nikalata ho kisi ko dillagi soojhe

ke yoon koi kami na thi sanam ke baada khaane mein
takalluf mein rahe pyaase, koi pehle hameiN pooche

-------------------

rukti nahin dum bhar ko bhi furkat mein hichkiyaaN
leta hai naam yaar bhi har ek dum ke beech


----------------

tootkar chaand gal gaya hoga
raat ka dum hikal gaya hoga

soz e gurbat liye betha tha khaskhane mein
woh ghar ke saath jal gaya hoga

bad salooki to uske bas mein nahiN
bas zabaN se phisal gaya hoga

----------------

is chaand se jab itni hi door hai ye duniya
taa hade nazar kyunkar pur noor hai ye duniya

duniya ka gila kya ho girte pe agar hans de
apni isi aadat se majboor hai ye duniya

koi meri nazar se dekhe mere ishqe lanishaaN ko
jise berukhi se kehti fitoor hai duniya

gazal : is shehar ....

is shahar kii dhoop mein saya churana aa gaya
aab o gham se aish karna dil lagana aa gaya

sab se miliye haath bandhe, muskurakar boliye
muflisi mein beadab ko sar jhukana aa gaya

teen galiyaaN chodiye aur chauk se mud jaaiye
maangti aankhoN se ab aankhein bachana aa gaya

pa zameeN se naa uthe, woh haath mein aa jaaye bhi
chaar din bazaar dekha ghar chalana aa gaya

gazal : tera khayaal...

tera khayal dard hai aaur ek sawaal bhi
bechain hai rooh bin baarish ke saal si

tere hi saaye mein chali aayi hai zindagi
kaandhe pe jaise sookhte ek bheege baal si

aapke chehre main mujhe mil gaya raheem
ab khol deni chahiye girheN rumaal ki

hum saaye mere chod gila rishta naya bune
sunta hoon hoti hain teri baateN kamaal ki

waapasi

main beech o beech rehta hoon
shahar hai chaar soo mere
mujhe deti nahin fursat
ye duniya sar uthane ki

tumhe hai ye gila
aamad pe ghar ye khali milta hai
mujhe bhi aarzoo hoti hai
ghar ko jaldi jaane ki


andheri raat mein thak-kar
badan ko laad-kar khud-par
shehar se laut kar khaali
main jab ghar pahunctaa hoon
ghar aksar soya mita hai

tumhare ret ke teeloN pe raate kaat leta hoon

boodhi

.
..
...
shab bhar gali ke seene se awaaz aati rahi
mod ka koi makaN subak raha tha
dhuaan nahin tha
ek boo thii
kahin koi kuch jala raha tha

mera badan karhara raha tha
isiliye hi jag na paya...
... jag paya tha par uth na paya

darwaze par dhoop giri to jaakar dekha
aaur kya dekha ... ki
..toota hua kiwaar, chitkhani door padi thi
murda saanse pati padi thi
aangan ki mitti bhi jali jali si
kuch kaalikh ki surkh lakeereN
ek doosre mein sir deti
kachot-ti jhalak thos dhuen ki

..to kal raat.. dhuan utha to tha
par aankhoN mein laga nahin tha
pada hua tha
ek jala sa maans ka tukda
keh raha tha

"aansuoN ke tel par
jo rooh jali thi shab bhar
woh jaa chuki hai
apna libaas chodkar"

acha to phir
woh boodhi
itne saaloN se marte marte
mar hi gayi
.
!

bas ek aur shaam

.
.
shaam ke kinaare doobkar
paani ki tahoN mein so gaye
santari ujaale tootkar
bant gaye hazaar ho gaye

doodhiya nazar raat bhar
aasmaani pardoN se jhaankti rahi
tute lamhe, phisle pehar
shab us "kuch nahin" ko dhaankti rahi
paon pasaare
dhundh li katareN
badhati rahi nigaahoN ka waham
mere gham bhi bekarar ho gaye

saahil ka jism main cheerta raha
hawa un ubhaaroN ko dhaalti chali
paani pe thehri, zara ret mein machli
peeche peeche tinke uchaalti chali
saare ke saare
hosh utaare
nibhate rahe, shaidaii ka bharam
hum bhi un par sawaar ho gaye
..
.

gazal : lamha lamha

lamha lamha pighal rahi hai surmai shaamoN ki raanai
dekh ke taassur ba aaina lagta hai jaaN par ban aayi

roz mila karta hai koi, roz chhala jata hoon main
darham barham ho jaati hai har khushfahami, sab daanai

sunta hoon kal shab kooche mein ek naya khandhar upjaa hai
sunta hoon kal shab us ghar mein ghus aaye the kuch dangaai

dar pe darwesh khada aur ghar mein hai gehri khoj
kam se kam kuch mil jaaye jo dekar ho deen kamaai

jab bhi kabhi socha karta hoon baazar o jamghat ki baatein
mere sukhan mein jaane kyonkar jaa paa jaati hai tanhaai

gazal : kis nadaN ko...

kis nadaN ko bazm mein teri haal e junooN samjhana hai
sabke paas sabak hai apna, sabke paas fasana hai

soch liya hai dhuaN utha de par tai karna baaki hai
kis kis ko aanch dikhani, kya kya nahin jalana hai

hamne kiya taameer sfar ab ek mashwara tum bhi do
abhi chaloge saath mere yaa meri sada par aana hai

aaine par khalwat mein bhi kuch bhi numayaN mat karna
woh dil se kamzor beadab tera hi deewana hai

zindagi kab badalti hai ?

jhooth kehte hain
zindagi badalti rehti hai
ye mui aaj bhi kal si rehti hai


ye bijli ke taaroN mein uljhi patangeN
jism mein kaid hain jaise umangeN

girti nahin kabhi udti nahin
girheN ye kaisi jo khulti nahin

na jumbish, na koshish, na khwaaish koi
bas aandhiyoN ki dakhal si rehti hai


aaj kal rooh pashemaan hai
apne hi jism se pareshaan hai

kehti hai becho, libaas ye bhaate nahin
par aisi utran mein bartan bhi aate nahin

uff! baniye ke galle sa laalch
har pal yun hi bas bekal si rehti hai


khaali khaali din ki bhaari thakan
us par paseene ki aisi chubhan

neend ek kandhe pe aati nahin
peeth ko koi karwat suhati nahin
kabhi battiyaan band kar doon fareb
kabhi aankh se gir mujhe chalti rehti hai

jhooth kehte hain
zindagi badalti rehti hai
ye mui aaj bhi kal si rehti hai

fal-safa

ye hasratoN ki udaas dhun
zindagi ki udher bun

ye saans hai jo kasi hui
in koshishoN ki chaap sun

har ek pal hai naya jahaN
nai khwaahishoN ka aasmaaN

par go ma go phir bhi wahi
aaur wahi pichle gumaaN

bas puraani aanch se ab
uth raha hai naya dhuaN


jo jala nahin use ilm kya
jo hai jal chuka use hosh kya

jo hai adhjala zara poochiye
hai jalte rehne ka dard kya

safar e hayaat ho kayaam de
jism ko aaraam de

ek gudgudaati si sahar
ya ek halki shaam de

hai sawaal mere wajood ka
mujhe zindagi koi naam de

aamad e marg

shaam ne
chat se dhoop utaari
shakh pe bandhi saari


din kaate au baras banaye
barse hai par pyaas na jaye
ye jaaN khoob bhigoii
aankh ne
ab aangan beech pasari

main bhi to ik deewana hoon
paani jaisa mastana hoon
do ye rooh jalaii
saamne
shab aaur hui andhiyaari

shaam ne
chat se dhoop utaari
shakh pe bandhi saari

bazar se hokar aai hai

khud mein thodi jhuki jhuki si
dabi dabi kuch kadmoN mein
aankhon mein le nami nami si
bas seedhe apne kamre mein

gaaloN ki surkhi pe jaise
kaalikh si leti ho
shikan mein bhaun-hein ulajh ke yun
zulf mein jaa bethi hoN

lafzoN par bhi dhundh ka
badal thehar gaya hai
shaam bhi honi baaki hai
bas abhi to jalta pehar gaya hai

are ye kya ... ye kiske kaseede
chunni mein chun chun kar laaii hai
hathoN par ye... mitti ke nakhoon

achaa to phir, mod pe bethe
shehar se thokar khaa kar aai hai
warna aise mein aur kahan se
bazaar se hokar aai hai

bantwara

main bantwara kar aaya hoon
aadha sara kar aaya hoon

purkhe saare baant liye hain
aadhe aadhe chaant liye hain

dard, masaude, kisse, jhagde
peeth pe saare laad liye hain

ghar makaN aur main lamakaN
aangan bhi ik gaanth liye hai



rishto ne bhi bojh badhaye
choolhe ke tukde ho aaye

bair ko koi jala na paya
dil sabne apne sulgaaye

apne apne tukde tode
apne apne haath se khaaye

kulba dekhe aur muskaye
dheemeN dheemeN baat chalyae

"ye to ik din hona hi tha"

mana aakhir ye sab tai tha
phir bhi hai sawaal kya

nisbat baNt jaane se
gurbat bhi baNt jaayegi

hisse daari ho jaane
zimme daari ghat jaayegi ?

kagaz par jaise ameen
do aadhe tukde karta hai

kya barsoN ki ye zameen
do hisse ho jaayegi ?

aise kitne hi masle hain
beech kahin dil mein atke hain

baaki sab ka to
main niptara kar aaya hoon
main bantwara kar aaya hoon

bant jaaye go har kaudi par
ek hone ki ek wajah to bani rahegi

andar chahe sau hisse ye ghar ho jaaye
baahar iski parchaai par ek padegi

gazal : baahar ho

tum safine pe naaz karte ho
josh dekhen jab joo e bahar ke baahar ho

zikr e maazi misle naal e naakoos
yaad kaise rahe jo nazar ke baahar ho

baad e pursish poochen haal bismil ka
noor kaisa raushni jab guhar ke baahar ho

go ki dilli buri nahiN phir bhi
ghar agar ho kahin to shahar ke baahar ho

baarish

...
..
.
aaj chamak kar toota hai ghan
aaj toot kar barsega
dilli ke mausam sa ye man
aaj bhara kal tarsega

aaj shehar mein hui hai baarish
ghar baarish ka paani aaya
goya koi mehnga mehmaaN
jisne saara kulba ghumaya

berooni rangat lagi utarne
gurbat hone lagi numaya



deewaroN se girtiN dhareN
kaai kaai hoti deewareiN
bheega bheega arsh hile jab
farsh ko sookha kaise utaareN

itne dino ke baasi kapde
kahaN chupaeN,kahaN pasaareiN



rastoN mein dal-dal ug aaye
galiyoN ne hain bhawar sajaye
kya chukhat kya gali ka sir hai
paani ne sab fark mitaaye

soch rahen hain paar hai jaaa
tareiN yaa phir doob ke jaayeN

dheere dheere baarish chiooti
dhoop badaloN se gir tooti
dheere dheere utra paani
abhi abhi bas baas ye phooti

tarah tarah ke rangeeN keechad
badal rahe pehchaane jhoothi

..
.

Friday, September 14, 2007

विदाई

.
..
ek dhalte hue sooraj ko vidai dekar
shaam ko ghar jo main phuncha
to apne bistar par
jism kuch pehle se halka paya
laga goya
dhalte hue sooraj ke saath dariya mein
jism ka pani bhi mila aaya hoon

zehan ka koi hissa
doobti kirno mein uljhkar
doob gaya hai shayad

kal tere aane ki khabar ho to
shayad
ugte sooraj ke saath dariya se
laut aaye badan mein rooh meri
..
.

कांच

!
ye duniya ek kaanch ka tukra
dikhe door man bhaye

man aaye to hath se pakruN
jhat ungli kat jaye

phir bhi aisi banwari
rooh rahi lalchaye

khoon bahe na pata chale
bas kaanch liye muskaye
!

दोहे

sookhi sookhi neend pe geeli geeli os
shab bhar chat par chand ne khoob kiya afsos

man birle bairaag ki kaisi pakri raah
jis se chahe chootna usko bhar le baanh

aankho se dam jaye hai, dil se jaye na peer
tera bandi banwara toh raha janzeer

maikhane ke dwaar pe rinda niru upaye
saugandh opar lalsa jee se hook uthaye

jisko jis se neh tha, usko wahi aazab
waaiz maikash ho gaya, hamse chuti sharab

Wednesday, September 12, 2007

जिन्दगी

zindagi aajkal tu kahan hai

tere bina thanda sa chulha hai
bada sust sa dhuaN hai

zindagi aajkal tu kahan hai

na daftar mein milti hai
na bistar pe hoti hai
virsa koi gham hai
seene pe dhoti hai

na bazaar o ghar mein
na shakh o shjar pe
na janiye kaun se kis bhanwar mein
kyonkar hui lapata hai

zindagi aajkal tu kahan hai

besabab khud se hi roothkar
kaun jata hai yun chootkar

ye be khyali hai, kya bachpana hai

zindagi aajkal tu kahan hai

ye kaisa ruaansaN jama hai
sar e chashm bikhre hain shikve
pas e jism uthta dhuan hai

go ki ai zindgai
mujhko aata nahin hai yakin
zindagi tu wahi hai wahi

jo kuch saal pehle kitni hasiN thi
nahin zindgai tu to aisi nahiN thi

apne sanche mein hi gal gayi kaise
tu itni badal gayi kasie

waqt se pehle hi pak gayi ho
chaal se apni jyon thak gayi ho

thahar sa gaya hai goya
tere chehre se hadsa beeta nahin hai
teri aankhoN mein
ab kuch bhi jeeta nahin hai

aaja aankhoN ke chumbak jila le
dard mein apne mujhko mila le
mujh se apna woh vada nibha le
ek din meri dyodhi pe aakar kabhi
mere saath ek mausam bita le

tujhse milna hai, tujhmein risna hai
phir tere sath shabhar bhatkna hai

pal bhar ki fursat mein har pal jalana hai

tere naam kai khat likhkar
bhool betha tha kone mein rakhkar
safha dar safha, har khat tujhe
padhkar sunana hai

baithkar tere kadmoN mein paiham
beete dino ka ye sab gham
tere aage bahana hai

tu bata tujhe kab aana hai

tu jo aana to aankhon ko dho lena
ab jo aana to jeebhar ke ro lena

mujhko daman apne chupa lena
mere kandhe pe sar rakh ke so lena

main ne barsoN ke kisse bichaye hueN hain
apni giriya ke ankur ugaye hueN hain

jeebh par ek dafa rakh kar dekhna
mere aahsooN zara chakh kar dekhna

bahut pheeke pheeke milenge
neem se ye bhi jeete milenge

aa in mein apni sansoN ka
batashoN sa sona mila de
apna bhoola sa chehra dikha de

waqt soona jo soya pada hai
dabe paon chupke se aakar
yak b yak ise chauka de

apni aahat se chaukhat saja de

barf ke tukde sa gal raha hai badan
aajkal tujhmein uljha hai mera sukhan

is dundhalke ki girah khol de
de ke ek gunguni si chuan

in andheroN mein noor ghol de

ye furkat ki bimariyaN hain
inki tu hi fakat ek dava hai
jaldi ye nabz aa thaam le
zindagi tu chahe jahaN hai!

एक और ग़ज़ल

daur e fardaN ke soche kya imroz kuch nahin bachta
jua hai zindagi aakhir ke isme kuch nahin bachta

hua acha jo tune hi pila di haath se apne
jo main sagar utha leta, kade mein kuch nahin bachta

ajab shai hai ye ulfat bhi, badi be aitbari hai
kisi ka kuch nahin jata, kisi pe kuch nahin bachta

kabhi aisa bhi ho mumkin, khuda ghar aaye mere bhi
use maloom pad jaye ki ghar mein kuch nahin bachta

shab e gham mein uljha dil, to dil ko bhool hi jao
ke kuch is tarah jalta hai, sahar tak kuch nahin bachta

unhone be wajah hikmat ki khanjar ke uthane ki
fakat woh muskara dete, to jaaN mein kuch nahin bachta

प्यास का बदन

ye dard ki zameeN hai
yahan ghoont bhoont rokar
ye jism hai ugaya
yahan humne pyaas bokar

har roz sochte hain
is saal baarishoN mein
shajar hara to hoga

har saal baarisheN par
ungaliyoN se riskar
beh jaati hain zameeN mein
au hum, sookhi ok bharkar
har saal sochte hain
shayad
agle saal baarishoN mein

har saal baarishoN mein
sab doob to hai jata
par kuch bheegta nahin hai
ye dard ki zameeN hai
galti hai garche par ye
kuch sokhti nahin hai

ye pyaas ka badan hai
kuch seenchta nahin hai

रूठ - सुलह

shahad sane us shahar ka saya
shaam ki khidki par phaila tha

barsaat ka pani utar chuka tha
par ab bhi gali ka tan geela tha

aise tum haath chura ke
gali mein apne kadam bacha ke
chit put boondon se badan bhiga ke
chale gaye,
darwaze pe gaaj gira ke

tum na thahre, shaam na thahri
peeche pahunchi thi shab gahri

par tere khyaalon ki be hoshi
neend se pehle let chuki thi

sirhane par diye ki lau machal rahi thi
thoda thoda jala hua mein
thodi thodi hawa jali si
aur adhjala sa woh lamha
jiski saansein khidki par hi subak rahi thi

kamre ka rang bhi jaise utra utra
aur galiyare mein ek chup si pasar gayi thi

tab band kitabon ke panno se
kagaz si haseeN woh teri
hasti si tasveer nikali

usi mein jaise simat gaya sab

soch raha tha shayad tum phir
khwab ka jadoo tod gayi ho

phir upar dekha chand laga tum
kaan ka boonda chod gayi ho

phir soch na paya kya kya sochoon
aisa ya phir waisa sochoon
ankhein shayad band hui par
main to shab bhar soch raha tha

.
.
.

subah achanak hili jo palkein
ujli ujli dhoop daud kar
lipat gayi seedhe seene se

ek thithakti zulf hawa ki
kano ki golaiyon mein machal gayi au

aur dheere se utar ke peeche
badan pe mere pasar gayi yun

jaise koi tamanna bandhe
ek sard si ungli mere kandhe se phisal rahi ho

aur na jane kahaN kahaN tak choo aai woh

teri neechi nazar samne
mujhe pata tha tum aooge
maine dil se bol diya tha
mujhe yakiN tha tum aaoge

aage to kundi sarkake chale gaye the
sone se pahle maine
ghar ka baaki har darwaza khol diya tha

दरिया मुझ में उग आया है

kai dino se kano mein
sannatta hi sannatta hai
goonj raha hai

kai dino se jee
tujh par hi jhuka hua hai
kai dino se tu ankhon mein
ghoom raha hai

teri parchai in aankhon mein
bheeg rahi hai
kai dino se teri dhoop mein
sookh raha hoon

dariya mujh mein ug aaya hai
main dariya mein doob raha hoon

katra katra bheeg raha hoon
purza purza tut raha hoon

kaai kaai jami hui hai
harkat sari thami hui hai

kyon aur kyonkar kasha-kashi hai
soch raha hoon, boojh raha hoon

kai purane jhoothon ko
sach man liya hai
kai purane sach hain
jinko bhool raha hoon

mere chere ka rang aaine se poocho
khud kya bolon, oob raha hoon

neend ke mano par ug aaye
aankhon mein rukti hi nahin

mehrabon se takrati hai
takra kar girti bhi nahin

chat lagti hai ab gir jaye
deewaron mein main
darwaza dhoondh raha hoon

ek guzaarish hai tujh se bas

jhilmil jhilmil reh .. gup na ho
kuch sun kuch keh .. chup na ho

mera zayeka apne hothon par rehne de
main ek zamane mein
aakhir tera mehboob raha hoon

dariya mujh mein ug aaya hai
main dariya mein doob raha hoon

झगड़ा

lal sooraj duba ke dariya mein
sara pani gulal kar dala

shafaq ko chod diya ambar par
bure maazi ki tarah
la waris

sham kal kuch is berukhi se hui
rukhsat
jaise beech bahas se uthkar
cigratte bujha ke chal diya koi

हिंदी ग़ज़ल

piya tere lahori naina aisa jaal bunaye
na dekha janma nahin, jo dekhe but ho jaye

-----------------------------------------

piya teeri ankhiyon se bindhi chali aai main
moh mein guthi aisi khul nahin paii main

man to banaya tha ki tohe akulaaoongi
ankhiyaN jhookaii aage peeche pachtaii main

koi meri ankhiyon mein dekhe teri gandh to
deh pe sajaye phiruN piya teri jhaanii main

kanche wali ankhiyon mein os batori ri
raat kal galiyon mein bada boraii main

sookhe meethe mahue ki jhaans si bikhari
piya teri ankhiyon se aisa garmaii main