Sunday, October 7, 2007

Random Thoughts

koi shayad kisi ko bhool gaya
jaise karvat badal li sote mein

dooji jaanib to palat kar dekho
kuli aankhoN se take khwab koi

kaisa khali sa kar gaya koi
bhar ke aankhoN mein intezaar apna

-------------

rooh to khol gaye tum lekin
jism ka khol peeche choot gaya

zindagi bhar ka yahi haasil hai
zindagi ek din nahin rehti


--------------


rang chipka hua hai jism se ek
jo ke utra nahin saaloN se kai

tere haathoN ka chua lagta hai
tere choone se hatega shayad


---------------

main bhi khamoshi padh nahin pata
tum bhi kore jawab dete ho

pehle main bin kahe hi sunta tha
tum bhi kehte hue na thakte the

waqt ke saath badal li aadat

-------------

pehle tum dil pukarte the mujhe
main bhi aakhoN se chehra padhta tha

saath choota to naam choot gaya
naam ke saath saath hunar sabhi

--------------


laye ab dhoondh kar koi laye
mujhse ghar mera kho gaya shayad

bhari duniya mein lamakaN hoon main

------------


doobi doobi udaas hain aankhen
bas tere aas paas hain aankhen

kal se aankhoN mein ek fasad sa hai

------------


chaand chakha namkeen laga
shab bhar betha roya hoga

yaa phir neend ke tukde apni
aankh mein rakh kar soya hoga

-------------

murda chaand ko lekar phirti
hain khud kush pagli raatieN

subah ke seene pe maatam
karti hain kangli raatieN

----------------

2 comments:

Shilpa Bhardwaj said...

koi shayad kisi ko bhool gaya
jaise karvat badal li sote mein

This is my favorite!

rang chipka hua hai jism se ek
jo ke utra nahin saaloN se kai

tere haathoN ka chua lagta hai
tere choone se hatega shayad

And this strikes a chord, really!

Anonymous said...

I've heard 'rang chipka hua...' Is it yours?