Wednesday, October 29, 2008

सच

.
....
..



दोस्त,
दुनिया,
दामान ऐ अज़ीज़

सब बहाने हैं दिल लगाने के
बस इसी सच को भूल जाने के
ज़िन्दगी का सबसे कड़वा सच
ज़िन्दगी का यही अकेलापन

.
....
..
.

Ajnabi Dost

.
.
Dosti sahal hai
saanson ki tarah
aur kabhi kabhi
utni hi mushkil bhi

kab se yun saath khade hain hum tum

dum ghuta jaata hai
kuch baat karo

...
.
.

Monday, September 15, 2008

Mere MujahidoN ke Naam

nava e maatam e marg se dil shaad karo
zer e paa khoon hi khoon,
raks karo deewano

shehar au bastiyon ko phoonk subuk-dosh na ho
gaon rehte hain abhi, dasht o daman baaki hai
chand khush-rang gulaboN ko hai jhulsaya fakat
raakh karne ko abhi saara chaman baaki hai

dard mein aah nahin, aah mein taskiN bhi nahin
bad-hawasoN ki hawas ko kahan karaar mila
soz e fitna-khoo butaana ke parastaaron ko
kya bura hai agar jaza mein koo e naar mila

nava e maatam e marg se dil shaad karo
zer e paa khoon hi khoon,
raks karo deewano

Monday, August 25, 2008

Idbaar

This is in reference to decline of Progressive Urdu Writers Movement in Indian Sub-continent.
perhaps overtly romanticized!


...
.
.

apni vehshat se jo uktaa ke gharon se nikle
shehar mein firte rahe shorish e naabood liye
toor ki khoj mein the sirfire sarkash kitne
pet mein bhookh liye, aankh mein baarood liye

apni hasrat ka jab aainaa-kada toot raha
kalam ne khoon bahaya bahut himaayat mein
zak uthaye, draupdi ke khule balon ki tarah
kaat li apni zubaaN aap hi shikaayat mein

butoN se than gayi, hasti se jee dukha baithe
ye jaNgudaaz khala khatm kaash kar de hameN
sabhi tilism, sab saraab, sab bharam jhoothe
ya khuda ek naii duniya taraash kar de hameN

Monday, August 18, 2008

ek nazm ke baad

kalam se phoot-ta hai lafz
aur kaagaz pe
khoon khoon hua jata hai

ek shoridaa takhaiyul ko hai vakaf mila

khalaa ka ek bulbula
nikal ke soch ki gehraii se
zubaN pe aake abhi aah hua jata hai

Sunday, August 3, 2008

zindagi jaari hai

..
.

mauka e vaardaat, seel-band
zameeN siyaah sulagti hui

koi dehshat se mar gaya,
to koi hairat se
sabhi nakbat mein raakh raakh hue

kisi ke haath, kisi ke paon
jale-bhune, kate-phate, khoon-alooda

chun kar ek ek azza e masloob
naamzad kar ke kisi number se
rakam kar le gaye maalkhane

peeche apno ko dhoondhne wale
shinaakht kar ek ek number ki
ab azizoN ki laash jodte hain

koi kade se mil gaya,
koi angoothi se
kisi ke kurte ka chithra
kisi gale pe mila
ek tukre pe hain kai daawe
sabhi hain haath mein saboot liye

aur jo gosht ke us malbe se
kar saka kuch na baramad
woh hai aakhon mein ek sawal liye
jawab lene pe aamaada hai
kiski hasrat ka sila hai
kise sawab mila?
hua jo kuch bhi,
hua kyun hai?

khabar aai hai, jo dhamaake hue
kisi ne hausla dikhaate hue
unki zimmedaari li hai
phir wahi bhookh, phir wahi elaan
"beja khoon bahakar, malaal kam na hua
jang ye jaari rahegi yun hi"

khabar aai hai, bum phate the jahaN
naami-benaami kai hukmaraaN
gaye the jayeza lene
phir wahi protocol, phir wahi bayan
"aam aabaadi be-khauf rahe
muheem jari rahegi yun hi"

khabar aai hai aspatalon se
maut naraaz hai figaaron se
chaak seeno ke rafoo kholti hai
zindagi ki bhi apni ek zid hai
yahi khoo bhi hai, yahi khoobi bhi
zindagi abhi bhi jaari hai
...
.

Monday, June 23, 2008

hami ast

..
....
.

na jane kaun garaz hai ki jis-se bhaag raha hoon
na jane kaun si shaii hai jo haath aati nahin

bhaagte bhaagte
aisa ho kabhi,
zameeN pairon se lipat jaye
taras kha ke kahe

"yahin tham ja,
yahi manzil hai,
yahin aana tha"

main wahin beth
moond loon aakhein
kahoon khud se
yakin ke saath

"aah!
yahi manzil hai,
yahin aana tha"

...
.

Saturday, May 31, 2008

na agar ghar pohchun?

..
.
aaj ki shab na agar ghar pohchun

fikr hogi kise khabar hogi
wahi khamoshi mere ghar hogi

main jo har shaam luat aata hoon
aaj ki shaam na luatoon
to kaho
ghar mujhe khojne kahan jaye

ghar ko maloom kahan hai ke kai,
shehar mein, aur thikane bhi mere
kai raste hain kai mod hain darakth kai
jin se hokar ke jitni baar bhi guzarta hoon
wahin bas jaata hoon

aaj ki shab jo yaaN bas jaoon
na ghar jaoon

fikr hogi kise khabar hogi
wahi veerani mere ghar hogi

..
....

.

Behan

...
.............
behan jab tak vida na hui thi
sab theek hi tha

behan kamre mein thi
darwaaze ke peeche, taiyaar khadi
muskuraati hui

sab kuch theek hi tha

tabhi kisi ne pukara,
ke chalo waqt hua
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai


aur woh chal di
dheeme dheeme se sarkati hui
-- kaise jabran uthae honge paon

abhi sab theek hi tha
ke achaanak koi phoot pada
sab phoot pade

behan cheekh cheekh ke pukaar rahi thi
naam mera,
main bhi munh khol kahada tha
-- kabhi itni talab se pukara jo nahin


baahar koi kheej raha tha
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai

ya to chaukhat hi bahut door sarak aayi thi
ya ke paon uthte hi zameeN khinch jaati thi
kisi tarah bhi galiyara khatm hota nahin tha

kaise ruk ruk ke sabko thaam rahi thi
sab ko choo choo ke manati ho
-- main bhi saath hi tha, phir bhi choot raha tha

car mein beth-te beth-te bhi,
ro hi rahi thi
cheeni ke phaaken kisi ne lake diye
kisi ne doosre hath se pani pilaya
-- meethe pani ke saath namkeen aansooN
woh ro hi rahi thi
darwaza band hua


sab bhari aankhen, rundhe gale lekar
wapas ghar mein bikhar se gaye

main kone mein, paon par paon chadaye
sikud ke betha tha
chup-chaap, daant par daant kase

tabhi kisi ne toka ke mat ro,
aur is se pehle ki main kehta kuch bhi
main phoot pada

waise bhi
behan jaa chuki hai
sab kuch theek hi hai
..
.

Wednesday, February 20, 2008

prateeksha

main tumhari prateeksha mein maun
sab kuch jhuthlata, nat
tumhari prateeksha mein vyast

tum aao to
main cheer kar phenk sakooN ye aadambar
masle hue bistar se uthkar
jhaank sakooN pal bhar
damit ichhaaoN ka syamvar

tum aao to
sweekar sakooN ke jo kuch bhi
mujh mein sahej hona chahiye
so hai,
main jo kuch anubhav karta hoon
vah likh sahooN

na todne pade vaktavya
na jodne pade shabd
nepethya mein na kuch bhi chipa reh sake

pal bhar ko hi priy
mujhe abhivyakti ka swaatantry de jao
manushya hone ka bhautik swaad
jheebh par jama rahne do

....
.