Monday, October 8, 2007

bacche

laalbatti ke gird milte hain
jalte bujhti si aankhoN waale
udhre chithro mein sajeele bacche

thamti caroN pe bhaagkar jhat se
dono hothoN ko kheench kano tak
kaanch par jism chod dete hain
tang jismoN mein dheele bacche

rookhe hathoN mein uthaye kitne
magzino ke mulayam jathe
naamcheeN noveloN ki sasti nakleN
waqt katne ki sau tarkeebeN
rozmarra ke kaam ki cheezen
nanhe jeboN se tijaarat karte
kalasti dhoop mein peele bacche

kabhi basoN mein jo chadh aate hain
ungliyoN mein phansaaye pithoo
uljhi tarzon ko barbarate hue
jee bara besura sa karte hain
jab bhi gaate hain sureele bacche

hafte dar hafte har shanichar ko
tel ke kund liye haathon mein
dar dikhate hue sayyiron ka
shakl par pote dua
laal kaale gore neele bacche

kisne laakar ke yaha chod diya...
goya likhkar ke koi ek misra
kisi shayar ne kar diya khaarij
la-mukkammal,
apne maani ko taraste hue
laalbatti ke gird milte hain
bheegti umr mein geele bacche
..
.

3 comments:

Shilpa Bhardwaj said...

Pehle bhi keh chuki hoon.. ek baar phir Vineet... beautiful composition.

Mahender Kumar 'Sani' said...

kisne laakar ke yaha chod diya...
goya likhkar ke koi ek misra
kisi shayar ne kar diya khaarij
la-mukkammal,
apne maani ko taraste hue

Is tarah ki nazm maine poore orkut par nahii padhi hai.. balki ye aakhiri hissa to kisi bhi bade shayar k liye rashq ka baais ho sakta hai..

RAJA - Vineet said...

Thanks all