Saturday, June 13, 2009

sab rogon ki ek dawa hai
dil kush rakhiye baaki kya hai

ab kis-se aage niklega
shahar akela bhaag raha hai

waapis jhukne ko aai hai
daur e itirka peeth chadha hai

baazaaron mein aag lagi hai
pet pe cheeNte maar raha hai

tu mera dukh kya samjhega
tera main jo mujhse bada hai

andar baahar ek hai sab kuch
mitti paani aag hawa hai

kis ujlat mein ghar se nikle
sab kuch peeche choot gaya hai

thehro yahin se phir guzrega
waqt ye chakkar kaat raha hai

!!!
hum jahan tak ghazal samajhte hain
dil ka radd e amal samajhte hain

kiya hai ahal ne sardaar jinhe
kya woh tarz e ahal samajhte hain

junun ko kuch bhi nahin na-mumkin
tifl sab kuch sahal samajhte hain

go zaroori hai ye duniya-daari
aaj rahne do kal samajhte hain

!!

sabak

.

hum jise jaaNvidaN samajhte hain
har ahad mein hua hai katl wahi

kitni shakloN se hote guzerN hain
aadmiyat aur masihaai

jeete rahne ke liye duniya mein
marte rahna bahut zaroori hai

!

Highway

khula Highway
ek ke peeche ek
bhaagti badhawaas gaariyaN

badalte gear..
badalti raftaar..
badalti lane..

magar batlao ye soorat kitni badli hai?

khula Highway
ek ke peeche ek
bhaagti badhawaas gaariyaN

Remote

..
.
dasiyon channal badal chuka hoon
beesiyon baar wahi boriyat
sau shakloN mein aage peeche ghoom chuki hai

ik bhi manzar
rok nahin paaya hai palbhar

jaane kitne hi din raat
kitne mausam, kitne rishte
bita chuka hoon, beet chuka hoon

ik bhi manzar
rok nahin paya main palbhar

..
.
..

shahar tarrakki par hai
nadi mit chuki hai
kooNe khap chuke hai
paani waqt par aata hai
kabhi nahin bhi aata

log khoon peekar jee rahe hain.

..
....