Saturday, May 31, 2008

na agar ghar pohchun?

..
.
aaj ki shab na agar ghar pohchun

fikr hogi kise khabar hogi
wahi khamoshi mere ghar hogi

main jo har shaam luat aata hoon
aaj ki shaam na luatoon
to kaho
ghar mujhe khojne kahan jaye

ghar ko maloom kahan hai ke kai,
shehar mein, aur thikane bhi mere
kai raste hain kai mod hain darakth kai
jin se hokar ke jitni baar bhi guzarta hoon
wahin bas jaata hoon

aaj ki shab jo yaaN bas jaoon
na ghar jaoon

fikr hogi kise khabar hogi
wahi veerani mere ghar hogi

..
....

.

Behan

...
.............
behan jab tak vida na hui thi
sab theek hi tha

behan kamre mein thi
darwaaze ke peeche, taiyaar khadi
muskuraati hui

sab kuch theek hi tha

tabhi kisi ne pukara,
ke chalo waqt hua
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai


aur woh chal di
dheeme dheeme se sarkati hui
-- kaise jabran uthae honge paon

abhi sab theek hi tha
ke achaanak koi phoot pada
sab phoot pade

behan cheekh cheekh ke pukaar rahi thi
naam mera,
main bhi munh khol kahada tha
-- kabhi itni talab se pukara jo nahin


baahar koi kheej raha tha
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai

ya to chaukhat hi bahut door sarak aayi thi
ya ke paon uthte hi zameeN khinch jaati thi
kisi tarah bhi galiyara khatm hota nahin tha

kaise ruk ruk ke sabko thaam rahi thi
sab ko choo choo ke manati ho
-- main bhi saath hi tha, phir bhi choot raha tha

car mein beth-te beth-te bhi,
ro hi rahi thi
cheeni ke phaaken kisi ne lake diye
kisi ne doosre hath se pani pilaya
-- meethe pani ke saath namkeen aansooN
woh ro hi rahi thi
darwaza band hua


sab bhari aankhen, rundhe gale lekar
wapas ghar mein bikhar se gaye

main kone mein, paon par paon chadaye
sikud ke betha tha
chup-chaap, daant par daant kase

tabhi kisi ne toka ke mat ro,
aur is se pehle ki main kehta kuch bhi
main phoot pada

waise bhi
behan jaa chuki hai
sab kuch theek hi hai
..
.