Sunday, October 7, 2007

zindagi kab badalti hai ?

jhooth kehte hain
zindagi badalti rehti hai
ye mui aaj bhi kal si rehti hai


ye bijli ke taaroN mein uljhi patangeN
jism mein kaid hain jaise umangeN

girti nahin kabhi udti nahin
girheN ye kaisi jo khulti nahin

na jumbish, na koshish, na khwaaish koi
bas aandhiyoN ki dakhal si rehti hai


aaj kal rooh pashemaan hai
apne hi jism se pareshaan hai

kehti hai becho, libaas ye bhaate nahin
par aisi utran mein bartan bhi aate nahin

uff! baniye ke galle sa laalch
har pal yun hi bas bekal si rehti hai


khaali khaali din ki bhaari thakan
us par paseene ki aisi chubhan

neend ek kandhe pe aati nahin
peeth ko koi karwat suhati nahin
kabhi battiyaan band kar doon fareb
kabhi aankh se gir mujhe chalti rehti hai

jhooth kehte hain
zindagi badalti rehti hai
ye mui aaj bhi kal si rehti hai

No comments: