Monday, August 25, 2008

Idbaar

This is in reference to decline of Progressive Urdu Writers Movement in Indian Sub-continent.
perhaps overtly romanticized!


...
.
.

apni vehshat se jo uktaa ke gharon se nikle
shehar mein firte rahe shorish e naabood liye
toor ki khoj mein the sirfire sarkash kitne
pet mein bhookh liye, aankh mein baarood liye

apni hasrat ka jab aainaa-kada toot raha
kalam ne khoon bahaya bahut himaayat mein
zak uthaye, draupdi ke khule balon ki tarah
kaat li apni zubaaN aap hi shikaayat mein

butoN se than gayi, hasti se jee dukha baithe
ye jaNgudaaz khala khatm kaash kar de hameN
sabhi tilism, sab saraab, sab bharam jhoothe
ya khuda ek naii duniya taraash kar de hameN

Monday, August 18, 2008

ek nazm ke baad

kalam se phoot-ta hai lafz
aur kaagaz pe
khoon khoon hua jata hai

ek shoridaa takhaiyul ko hai vakaf mila

khalaa ka ek bulbula
nikal ke soch ki gehraii se
zubaN pe aake abhi aah hua jata hai

Sunday, August 3, 2008

zindagi jaari hai

..
.

mauka e vaardaat, seel-band
zameeN siyaah sulagti hui

koi dehshat se mar gaya,
to koi hairat se
sabhi nakbat mein raakh raakh hue

kisi ke haath, kisi ke paon
jale-bhune, kate-phate, khoon-alooda

chun kar ek ek azza e masloob
naamzad kar ke kisi number se
rakam kar le gaye maalkhane

peeche apno ko dhoondhne wale
shinaakht kar ek ek number ki
ab azizoN ki laash jodte hain

koi kade se mil gaya,
koi angoothi se
kisi ke kurte ka chithra
kisi gale pe mila
ek tukre pe hain kai daawe
sabhi hain haath mein saboot liye

aur jo gosht ke us malbe se
kar saka kuch na baramad
woh hai aakhon mein ek sawal liye
jawab lene pe aamaada hai
kiski hasrat ka sila hai
kise sawab mila?
hua jo kuch bhi,
hua kyun hai?

khabar aai hai, jo dhamaake hue
kisi ne hausla dikhaate hue
unki zimmedaari li hai
phir wahi bhookh, phir wahi elaan
"beja khoon bahakar, malaal kam na hua
jang ye jaari rahegi yun hi"

khabar aai hai, bum phate the jahaN
naami-benaami kai hukmaraaN
gaye the jayeza lene
phir wahi protocol, phir wahi bayan
"aam aabaadi be-khauf rahe
muheem jari rahegi yun hi"

khabar aai hai aspatalon se
maut naraaz hai figaaron se
chaak seeno ke rafoo kholti hai
zindagi ki bhi apni ek zid hai
yahi khoo bhi hai, yahi khoobi bhi
zindagi abhi bhi jaari hai
...
.