Sunday, October 7, 2007

bantwara

main bantwara kar aaya hoon
aadha sara kar aaya hoon

purkhe saare baant liye hain
aadhe aadhe chaant liye hain

dard, masaude, kisse, jhagde
peeth pe saare laad liye hain

ghar makaN aur main lamakaN
aangan bhi ik gaanth liye hai



rishto ne bhi bojh badhaye
choolhe ke tukde ho aaye

bair ko koi jala na paya
dil sabne apne sulgaaye

apne apne tukde tode
apne apne haath se khaaye

kulba dekhe aur muskaye
dheemeN dheemeN baat chalyae

"ye to ik din hona hi tha"

mana aakhir ye sab tai tha
phir bhi hai sawaal kya

nisbat baNt jaane se
gurbat bhi baNt jaayegi

hisse daari ho jaane
zimme daari ghat jaayegi ?

kagaz par jaise ameen
do aadhe tukde karta hai

kya barsoN ki ye zameen
do hisse ho jaayegi ?

aise kitne hi masle hain
beech kahin dil mein atke hain

baaki sab ka to
main niptara kar aaya hoon
main bantwara kar aaya hoon

bant jaaye go har kaudi par
ek hone ki ek wajah to bani rahegi

andar chahe sau hisse ye ghar ho jaaye
baahar iski parchaai par ek padegi

No comments: