Sunday, October 25, 2009

wahi hoga ki jo likha hoga

wahi hoga ki jo likha hoga
aur woh bhi tera kiya hoga

doob jayegi ek din duniya
phir bata tu kahan khada hoga

mere seene mein kiski dhadkan hai
woh jahan hoga sochta hoga

jodkar chat au chaar deewarein
hum ye samjhe ki aasra hoga

sabko ko hairaangi hui aakhir
sabko maloom tha ki kya hoga

sochte sochte wahan pahunche
jahan koi nahin - hai, tha, hoga

..!..

beech raste mein hai pada koi

beech raste mein hai pada koi
mar gaya kya? hai poochta koi

phone ke saath kho gaye number
mila koi nahin mila koi

bolna jisne sikhaya sabko
ab nahin us se bolta koi

saare din ki thakaan ka mara
neend mein muskura raha koi

hum bhi shayad kisi kataar mein hai
abhi aata hun keh gaya koi

lo chalo maine moond li aankhein
ab nahin tumko dekhta koi

aankh kholo to pata chlata hai

aankh kholo to pata chlata hai
ghar mein kya kya nahin jo khalta hai

chehra tasveer se milao nahin
rang kaagaz ka bhi badlata hai

ye jo rassa-kashi hai saanso ki
haath sabka yahan phislata hai

kiski aawaaz kaid hai mujh mein
kis abhaage ka dum nikalta hai

mahve khwaab hua jata hun

mahve khwaab hua jata hun
juzve khwaab hua pata hun

dil hi raha jab khali mera
jeb mein bhar-kar kya lata hun

ghar se nikle der hui ab
waapis jaate katrata hun

roko, thamo, bandho mujhko
phir main kisi ko yaad aata hun

azal se lekar abad khala hai
main jaata hun, ya aata hun?