Sunday, September 2, 2012

Kun - कुन

[ Kun ]

Jangal se shaam ja rahi hai
andhera gehra raha hai
aur gehra
aur gehra
aur
ab jab
kuch nazar aata nahin hai

gufa mein
    tanha baitha
             aadam
mahsoos karta hai

( koi hai, jo is andhere mein bhi mujh ko dekhta hai )



[ कुन ]

जंगल से शाम जा रही है
अँधेरा गहरा रहा है
और गहरा
और गहरा
और
अब जब
कुछ नज़र आता नहीं है

गुफा में
   तन्हा बैठा
             आदम 
महसूस करता है

( कोई है, जो इस अँधेरे में भी मुझ को देखता है )


Rafaqat - [रफाक़त]



[Rafaqat]
Hum ne
basaye ghar
banaye darwaze
lagaai.n kundiya.n
taange taale

aur ab hum
nikal aaye hain galiyon mein
koshish kar rahein hain
ke apni chabhiyon se
doosro.n ke ghar mein dakhil ho sakein


[रफाक़त]

हम ने
बसाए घर
बनाये दरवाज़े
लगायीं कुण्डियाँ
टाँगे ताले

और, अब हम
निकल आयें हैं गलियों में
कोशिश कर रहे हैं
के अपनी चाभियों से
दूसरों के घर में दाख़िल हो सकें