zindagi aajkal tu kahan hai
tere bina thanda sa chulha hai
bada sust sa dhuaN hai
zindagi aajkal tu kahan hai
na daftar mein milti hai
na bistar pe hoti hai
virsa koi gham hai
seene pe dhoti hai
na bazaar o ghar mein
na shakh o shjar pe
na janiye kaun se kis bhanwar mein
kyonkar hui lapata hai
zindagi aajkal tu kahan hai
besabab khud se hi roothkar
kaun jata hai yun chootkar
ye be khyali hai, kya bachpana hai
zindagi aajkal tu kahan hai
ye kaisa ruaansaN jama hai
sar e chashm bikhre hain shikve
pas e jism uthta dhuan hai
go ki ai zindgai
mujhko aata nahin hai yakin
zindagi tu wahi hai wahi
jo kuch saal pehle kitni hasiN thi
nahin zindgai tu to aisi nahiN thi
apne sanche mein hi gal gayi kaise
tu itni badal gayi kasie
waqt se pehle hi pak gayi ho
chaal se apni jyon thak gayi ho
thahar sa gaya hai goya
tere chehre se hadsa beeta nahin hai
teri aankhoN mein
ab kuch bhi jeeta nahin hai
aaja aankhoN ke chumbak jila le
dard mein apne mujhko mila le
mujh se apna woh vada nibha le
ek din meri dyodhi pe aakar kabhi
mere saath ek mausam bita le
tujhse milna hai, tujhmein risna hai
phir tere sath shabhar bhatkna hai
pal bhar ki fursat mein har pal jalana hai
tere naam kai khat likhkar
bhool betha tha kone mein rakhkar
safha dar safha, har khat tujhe
padhkar sunana hai
baithkar tere kadmoN mein paiham
beete dino ka ye sab gham
tere aage bahana hai
tu bata tujhe kab aana hai
tu jo aana to aankhon ko dho lena
ab jo aana to jeebhar ke ro lena
mujhko daman apne chupa lena
mere kandhe pe sar rakh ke so lena
main ne barsoN ke kisse bichaye hueN hain
apni giriya ke ankur ugaye hueN hain
jeebh par ek dafa rakh kar dekhna
mere aahsooN zara chakh kar dekhna
bahut pheeke pheeke milenge
neem se ye bhi jeete milenge
aa in mein apni sansoN ka
batashoN sa sona mila de
apna bhoola sa chehra dikha de
waqt soona jo soya pada hai
dabe paon chupke se aakar
yak b yak ise chauka de
apni aahat se chaukhat saja de
barf ke tukde sa gal raha hai badan
aajkal tujhmein uljha hai mera sukhan
is dundhalke ki girah khol de
de ke ek gunguni si chuan
in andheroN mein noor ghol de
ye furkat ki bimariyaN hain
inki tu hi fakat ek dava hai
jaldi ye nabz aa thaam le
zindagi tu chahe jahaN hai!
2 comments:
Hi Vineet,
Pehli baat: Blog ko delete karne ka naam mat lena!!
Doosri: Kavita zara lambi hai... behtar ho sakti thi... but I liked these lines a lot..
na daftar mein milti hai
na bistar pe hoti hai
ACCHA HAI!
tu jo aana to aankhon ko dho lena
ab jo aana to jeebhar ke ro lena
BEAUTIFUL!
jeebh par ek dafa rakh kar dekhna
mere aasooN zara chakh kar dekhna
CHHOO GAYA!!
"furkat ki bimariyaN" BAHOT HI ACCHA PHRASE!!!
Post a Comment