Saturday, May 31, 2008

Behan

...
.............
behan jab tak vida na hui thi
sab theek hi tha

behan kamre mein thi
darwaaze ke peeche, taiyaar khadi
muskuraati hui

sab kuch theek hi tha

tabhi kisi ne pukara,
ke chalo waqt hua
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai


aur woh chal di
dheeme dheeme se sarkati hui
-- kaise jabran uthae honge paon

abhi sab theek hi tha
ke achaanak koi phoot pada
sab phoot pade

behan cheekh cheekh ke pukaar rahi thi
naam mera,
main bhi munh khol kahada tha
-- kabhi itni talab se pukara jo nahin


baahar koi kheej raha tha
mangal hai,
pau phat-te hi ghar pahuchna hai

ya to chaukhat hi bahut door sarak aayi thi
ya ke paon uthte hi zameeN khinch jaati thi
kisi tarah bhi galiyara khatm hota nahin tha

kaise ruk ruk ke sabko thaam rahi thi
sab ko choo choo ke manati ho
-- main bhi saath hi tha, phir bhi choot raha tha

car mein beth-te beth-te bhi,
ro hi rahi thi
cheeni ke phaaken kisi ne lake diye
kisi ne doosre hath se pani pilaya
-- meethe pani ke saath namkeen aansooN
woh ro hi rahi thi
darwaza band hua


sab bhari aankhen, rundhe gale lekar
wapas ghar mein bikhar se gaye

main kone mein, paon par paon chadaye
sikud ke betha tha
chup-chaap, daant par daant kase

tabhi kisi ne toka ke mat ro,
aur is se pehle ki main kehta kuch bhi
main phoot pada

waise bhi
behan jaa chuki hai
sab kuch theek hi hai
..
.

2 comments:

Anonymous said...

naam mera,
main bhi munh khol kahada tha
-- kabhi itni talab se pukara jo nahin
. . ./
bhut khub kaha hai,
mujhe behad aachhi lagi.

..मस्तो... said...

mujhe bahut bura laga..aur lagta hi ja raha hai...

Khair !!