Monday, June 23, 2008

hami ast

..
....
.

na jane kaun garaz hai ki jis-se bhaag raha hoon
na jane kaun si shaii hai jo haath aati nahin

bhaagte bhaagte
aisa ho kabhi,
zameeN pairon se lipat jaye
taras kha ke kahe

"yahin tham ja,
yahi manzil hai,
yahin aana tha"

main wahin beth
moond loon aakhein
kahoon khud se
yakin ke saath

"aah!
yahi manzil hai,
yahin aana tha"

...
.

2 comments:

Mahender Kumar 'Sani' said...

anoobhuti ki ye awastha? main hairat me hooN! aur kaun hirat me n pad jayega...
...............

waah kah doonga to wo jo kuchh bhi
maine paaya hai chhin hi jaayega..
waah aata hai baais-e-lazzat
tum jo likhte ho,
lazzatoN se pare hota hai,
indriyaan haar jaati hain saari
aur ye hi wahii awastha hai
jisme ki padhne wala khud hi
likhne wala ho jata hai..

Pri said...

Soch rahi hun ke tareef mein kya likhun. Jo bhi likha jaye kam hoga. Bahut hi pasand aayi ab tak padhi hui tumhari kavitaein. Kaafi dinon se 'Zindagi Jaari Hai' jaisi kavita nahi padhi. Likhne ke liye shukriya, padh kar bahut aacha lag.